Wednesday, 31 July 2013

Jo Ye Chahe Ki Uski Rozi Badh Jaye


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Jo Ye Chahe Ki Uski Rozi Badh Jaye Aur Uski Umar Lambi Ho Jaye Usey Chahiye Ki Sila-Rahmi (Rishteydaron Ke Saath Achcha Sulooq) Karey.”
-: ( Sahih Bukhari, Vol 7, 5985 )

Ladki Ki Nikaah Ke Liye Razamandi


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Hazrat Abu Huraira Wa Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: “Kuwaari Ladki Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Uski Razamandi Na Hasil Karli Jaye Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai, Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah(Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye”

-: ( Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566 )

Ache Aur Bure Aamal


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya,
“Mujh Per Meri Ummat Ke Ache Aur Bure Tamaam Aamal Pesh Kiye Gaye, Yahan Tak Ke Raste Se Takleef Dene Wali Cheez Ko Hata Dena Maine Ache Aamal Me Dekha Aur Masjid Me Thuka Jane Wala Woh Thuk Jise Dafan Na Kiya Gaya Ho Use Bure Aamaal Me Dekha”.

-: ( Sahih Muslim, Kitab-Ul-Masaajid Hadith # 1135 )

Neki Ka Badla Duniya Aur Aakhirat Mein


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Anas Bin Malik (Radi Allaho Anho) Se Rivayat Hai Ke, RasoolAllah (Sallallaho Alaihey Wasallam) Ne Farmaya, “Allah Taala Kisi Momeen Par Ek Neki Ke Liye Bhi Zulm Nahi Karega, Uska Badla Duniya Me Bhi Dega Aur Aakhirat Me Bhi Dega, Aur Kaafir Ko Uski Nekiyo Ka Badla Duniyame De Diya Jata Hai Yahan Tak Ki Jab Aakhirat Hogi To Uske Paas Koi Neki Nahi Hogi Jiska Badla Diya Jaye”.
-: ( Sahih Muslim )

Apna Roza Pura Karey


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Abu Hurairah (Radi Allahu Anho) Se Rivayat Hai Ki, Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Agar Koi Bhul Gaya Aur Kuch Kha Pee Liya Toh Usey Chahiye Ki Apna Roza Pura Karey Kyonki Usey Allah Ne Khilaya Aur Pilaya”
- ( Sahih Bukhari, Vol3, 1933 )

Hamesha Ke Rozon Ka Sawaab


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Abu-Ayyub-Ansari (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ke Rasol Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “Jo Roze Rakhe Ramzan Ke Aur Iske Sath Lagaye 6 Roze Shawwal Ke Toh Isko Hamesha Ke Rozon Ka Sawaab Milega”.

-: [Sahih-Muslim, Vol-No: 03, Book:06 (Kitaab-Ul-Sauoom), Hadees-No: 2758]
-: [Sunan-Ibn-Majah, Vol-No: 01, Book:{Kitaab-Ul-Sauoom}, Hadees-No: 1716]

Jumaa Me Teen Tarah Ke Log Aate Hain


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Abdullah Ibn Amr (Radiyallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, Jumaa Me Teen (3) Tarah Ke Log Aate Hain,
(1) Ek To Wo Jo Waha Aakar Behuda Baat Kare, Uska Hissa Yahi Hai (Yani Usko Kuch   Sawab Na Milega) Aur
(2) Dusra Wo Hai Jo Wahan Aakar Allah Subhanahu Ta’ala Se Dua Kare Agar Allah Chahega Toh Uski Dua Qubool Karega Aur Chahega Toh Nahi Karega, Aur
(3) Teesra Wo Hai Jo Wahan Aakar Khamoshi Se Baith Jaye, Na Logon Ki Gardanein Faand Kar (Over The Neck) Aagey Badey Aur Na Kisi Ko Takleef Pahuchaye Toh Uska Ye Amal Iss Jumma Se Lekar Agle Jumma Tak Balki Aur Teen (3) Deen Ziyada Tak Ke Liye Gunaahon Ka Kaffara Ban Jayega, Kyunki Allah Subhanahu Ta’ala Ka Irshaad Hai Ki Jo Shaksh Ek Neki Karta Hai Usko 10 Gunaa Sawab Milega.

-: ( Sunan Abu Dawud, 1101 )

Tangdast Ko Muaf Kardo


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Abu Hurairah (Radiyallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, Ek Shakhs (Zamane-E-Guzistah Me) Logo Ko Udhaar(Karz) Diya Karta Tha, Woh Apne Ghulam Ko Kaha Karta Kisi Tangdast Madiun(Karz Lene Wale) Ke Paas Jana, Usko Muaf Kar Dena, Uss Ummid Par Ki Khuda Humko Muaf Karde, Jab Uska Inteqal Ho Gaya Allah Taala Ne Usko Muaf Kar Diya.

-: ( Sahih Bukhari, Kitabul Ahadeesul Ambiya, Jild 2, Page No. 470, Hadees No. 3480 )

Sunday, 28 July 2013

Safar Ke Douran

Bismillah Hir Rahman Nir Raheem


Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
‘Jo Shakhs Safar Ke Douran Allah Ki Taraf Tawajjo Rakhe Aur Uske Zikr Me Mashghool Rahe Allah Uske Liye Ek (1) Farishta Muhafiz (Ya’ani Hifazat Karne Wala) Muqarrar Kar Deta Hai Aur Jo Behooda Shair-O-Shairi Aur Fuzool Baton Me Masroof Rahe Toh Allah Uske Peechay Ek (1) Shaitan Laga Daita Hai.’

-: ( Mo’ajamul Kabeer, Jild 17, Page-324, Hadees No – 895 )

Tuesday, 23 July 2013

Jiska Naam Shehnshah / Shahjahan Hoga


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Abu Huraira (Radiallah Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Qayamat Ke Din Allah Ta’ala Ko Sabse Zyada Ghussa Dilane Wala Aur Badtar (Extreamely Bad) Sakhs Wo Hai, Jiska Naam Shehnshah / Shahjahan Hoga.

-: (Muslim Sharif, Book. 2, Pg No 208)

Khairat Taqseem Kiya Karo


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Asma  Bint Abu Bakr (Radi Allahu Anhuma) Se Rivayat Hai Ki, Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Maal Ko Theli (Bag) Me Band Kar Ke Na Rakhna Warna Allah Ta’ala Bhi Uskey Khazane Me Tumhare Liye Bandish Laga Dega, Jaha Tak Ho Sakey Logon Me Khairat Taqseem Kiya Karo”.

-: ( Sahih Bukhari )

Jisne Apne Walidain Ko Gali Di


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Farman-e-Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam):
“Jisne Apne Walidain (Maa-Baap) Ko Gali Di, Uske Sar Per Jahannum Me Iss Qadar Aag Ke Angare Barsenge Jis Qadar Aasman Se Zameen Per Barish Ke Qatre Baraste Hai”.

-: ( Sahih Muslim )

Salaam Ka Hukm


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Abu Huraira (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Ki Tajdare Madina (Sallallahu Ta’ala Allaihi Wa Sallam) Ne Farmaya:
“Jab Tum Me Se Koi Shaqs Apne Islami Bhai Ko Mile, Toh Usko Salaam Kare, Aur Agar Unke Darmiyan Darakht, Deewar Ya Patthar Wagairah Koi Chiz Ki Aad Ho Jaye Aur Wo Shaqs Dobara Mile, Toh Dobara Salaam Kare”.

-: ( Abu Dawood )

Wo Shaksh Hum Me Se Nahi


Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya,

“Wo Shaksh Hamaari Ummat Me Se Nahi Jo (Musibat Ke Waqt) Apne Gaal Pite,  Girebaan Phade Aur Jahaliyat Ki Baate Kare”.

-: ( Bukhari Sharif )

Jab Tak Karz Ada Na Kiya Jaye


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Momin Ki Rooh Uss Waqt Tak Jannat Me Jaane Se Rooki Rehti Hai Jab Tak Ke Uska  Karz Ada Na Kiya Jaye”.

-: ( Ibne Majah )

Monday, 22 July 2013

Ek Dusre Se Hasad


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Uqba Bin Aamir (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Ek Roz Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Nikle Aur Uhad Ke Shaheedon Par Namaz Parhi Jaise Janaze Ki Namaz Parhte Hain Phir Minbar Ki Taraf Aaye Aur Farmaya, “Main Tumhara Paish Khaima Hunga Aur Gawah Hunga Aur Qasam Allah Ki Mai Hauz Ko Iss Waqt Dekh Raha Hoon Aur Mujhko Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Ata Ki Gayee Hain, Yaa Zameen Ki Kunjiya Aur Qasam Allah Ki Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge Balki Ye Darr Hai Ki Tum Duniya Ki Lalach Me Aakar Ek Dusre Se Hasad Karne Lagoge”.

-: ( Sahih Muslim Book 030, Hadith Number 5688.)

Quraan Ki Bulandi Surah-Bakrah Hai


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Abu Hurayarah (Radiyallahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki,
Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Ki,
“Har Chiz Ki Koi Bulandi Hoti Hai. Quraan Ki Bulandi Surah-Bakrah Hai.
Usme Ek Aayat Sab Aayato Ki Sardar Hai. Matlab Ayatul Kursi.

-: ( Tirmizi Sharif )

Qayamat Ke Din Ka Hisaab


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Teen (3) Baatein Jis Shakhs Me Hongi Allah Ta’ala Qayamat Ke Din Uss Ka Hisaab Bohat Aasan Tariqey Se Lega Aur Uss Ko Apni Rehmat Se Jannat Me Dakhil Farmaeyga”.
Sahaba-e-Kiram Ne Arz Ki, “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Wo Kounsi Baatein Hain?”
Aapne Farmaya,
» (1). Jo Tumhe Mehroom Kare Tum Usey Ata Karo,
» (2). Jo Tum Se Qata-e-Talluq Karey (Yani Talluq Tode) Tum Uss Se Milap Karo.
» (3). Jo Tum Par Zulm Karey Tum Usko Muaf Kardo.

-: ( Al Mu’jam Al Awsat, Jild 2, Page 18, Alhadees 5094 )

Qayamat Qayam Na Ho Gi Jab Tak


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya :
“Qayamat Qayam Na Ho Gi Jab Tak Aaftaab (Suraj/Sun) Pacchim (West) Se Na Nikley, Phir Jab Aaftaab Pachim Se Nikley Uss Waqt Sab Aadmi Imaan Laawein Gey (Khuda Per Itni Badi Nishaani Dekh Ker) Lekin Uss Din Ka Imaan Faaida Na Dey Ga Uss Shakhs Ko Jo Pehley Imaan Nahi Laaya Ya Uss Ne Imaan Ke Saath Neki Nahi Ki”.

-: ( Muslim Shareef 1/256,258:396 )

100 Shaheedon Ka Sawaab


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Farman-e-Mustafa (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam),“Jo Shakhs Meri Ummat Me Kharabi Paida Hone Ke Waqt Meri Sunnat Par Amal Karega Use 100 Shaheedon Ka Sawaab Milega.”

-: ( Mishkat Sharif )

Beshaq Deen Aasan Hai


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Beshaq Deen Aasan Hai, Aur Jo Shaksh Deen Me Sakhtiyo Ko Ikhtiyar Karega Deen Uss Par Ghalib Aa Jayega (Yani Wo Deen Par Uss Sakhti Se Na Chal Sakega) So Apne Amal Me Pukhtagi (Continuity) Ikhtiyar Karo Aur Jahan Tak Mumkeen Ho Mayana Rawi Barto Aur Khush Ho Jao, Aur Subah, Dopahar Me Aur Sham Me Aur Kis Qadar Raat Me Ibadat Se Madad Hasil Karo”.

-: ( Sahih Bukhari )

Saturday, 20 July 2013

Sab Se Aqalmand Insaan


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Umar Farooq (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Ki Huzoor Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Daryaft Kiya Gaya, “Sab Se Aqalmand Kaun Hai?”Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Aqalmand Wo Hai Jo Maut Ko Sab Se Zyada Yaad Rakhe Aur Maut Ke Baad Ke Liye Sab Se Achhi Tayyari Kare”. 
 
- ( Ibne Maajah )

Momin Ko Maut


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Nabi-E-Paak (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Ki: “Momin Ko Maut Iss Tarha Aa Jati Hai Jis Tarha Peshani Par Paseena Aa Jata Hai.”

-: ( Mishkat : Jild-1,Page-342 )

Masjid Se Jitna Door


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Abu Hurairah (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Jo Shaksh Masjid Se Jitna Door Hota Hai Wo Utna Hi Ziyada Sawaab Hasil Karta Hai (Kyunki Namaz Ke Liye Janey Par Dahiney Qadam Par Ek Neki Ziyada Aur Bahiney Qadam Par Ek Gunaah Kam Ho Jata Hai)”.

-: ( Sunan Abu Dawud, Vol 1 , 554 )

Durood Aur Salaam ki Fazilat


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
Hazrat Jibrail-E-Ameen Abhi Mere Paas Tashrif Laye The. Unhone Allah Tala Ki Tarafse Mujhe Ye Basharat Di Hai Ke, “Jo Aap Par Durood Padhega Me Uspar Rehmat Nazil Kaurnga Aur Jo Aap Par Salaam Bhejega Me Salaam Ke Sath Uska Jawab Dunga”

-: ( Mishkat Sharif )

Ek Baar Durood Sharif Bhejana


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Abu Huraira (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ki Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki: “Jo Shakhs Mujh Par Ek Baar Durood Sharif Bhejega Allah Ta’ala Uss Par 10 Martaba Rehmat Utarega Aur Uss Ke 10 Gunaho Ko Muaf Farmayega Aur 10 Darze Buland Farmayega.

-: ( Mishkat Sharif )

Fazilate Ilm-e-Deen


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Ibne Abbas (Radiyallahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Nabi-e-Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Raat Me Ek Pal (Ghadi) Ke Liye Ilm Padhna Padhaana Raat Bhar Ki Ibadat Se Behtar Hai”.

-: ( Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58 )

Zabaan Aag Ki Hogi


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem


Nabi-E-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Jo Shakhs Dunya Me Gheebat Karta Rehta Hai, Qayamat Ke Din Uss Ki Zabaan Aag Ki Hogi.”

-: (Mishkat Shareef)


Dua Qabool Hoti Hai


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Abu Hurairah (Radi Allaho Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya,
“Hamesha Bande Ki Dua Qabool Hoti Hai, Jab Tak Wo Gunaah Ya Naata(Rishta) Todney Ki Dua Na Kare, Aur Jaldi Na Kare”
Logon Ne Kaha: Ya Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ! “Jaldi Ka Kya Matlab Hai?”
Aap (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya: “Ki Yu Kahey Ki Maine Dua Ki Mai Nahi Samajhta Ki Wo Qubool Hogi Phir Na Ummid Ho Jaye Aur Dua Chor De”.

- (Sahih Muslim Sharif)

Ek Martaba Durud


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Anas Bin Malik (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Jo Shaksh Mujh Par Ek Martaba Durud Bhejega To Allah Ta’ala Uss Par 10 Martaba Rahmat Bhejega Aur 10 Gunaah Maaf Honge Aur 10 Darjaat Buland Honge”.

- [Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 ( Sahih)]

Friday, 19 July 2013

Amaal Jo Jannat Mein Le Jaayein


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Abu Ayyub Ansari (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ne Bayaan Kiya Ki
Ya Rasool Allah! (
Sallallahu Alaihay Wasallam) Koi Aisa Amal Bataiye Jo Mujhe Jannat Me Le Jaaye?
Aap Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Unn Se Farmaya: “Allah Ki Ibadat Karo, Aur Uss Ke Sath Kisi Aur Ko Shareek Na Karo, Namaz Qayam Karo, Zakat Dete Raho, aur Sila Rehmati Karte Raho” Bas Yahi Amaal Tujhe Jannat Mein Le Jayeinge..!!!!

-: (Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Adab: 78)

Bhalayi ka Hukm Karo Aur Burayi se Roko


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Huzaifa (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Farmate Hai Ki Rasool Allah (Sallallahu Alahi Wasallam) Ka Irshad Hai: “Logo Bhalayi Ka Hukm Karte Aur Burayi Se Rokte Raho, Warna Ho Sakta Hai Ki ALLAH Ka Azaab Aa Jaye Aur Tum Us Waqt Duae Karo Magar Wo Qabool Na Ki Jaye”.

-: (Tirmizi Sharif)

Bewaon Aur Miskeenon Ke Kaam Aane Wala


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Bewaon(Widow) Aur Miskeenon(Gareeb) Ke Kaam Aane Wala Allah Ke Raah Me Jihaad Karne Wale Ke Barabar Hai, Ya Raat Bhar Ibadat Aur Din Bhar Roza Rakhne Wale Ke Barabar Hai.”

- (Sahih Bukhari Volume 008, Book 073, Hadith Number 036.)

Neki Aur Buraai Kya Hai ?


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Nawas Ibne Sam’aan (Radiyallahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Maine Rasool Allah (Sallallahu Alayhi Wasallam) Se Puchha “Neki Aur Buraai Kya Hai ?”
Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya, “Neki Khush Akhlaqi Hai Aur Buraai Aisa Kaam Karna Hai Jo Tere Dil Me Khatke, Aur Tujhe Wo Pasand Na Ho Ke Log Use Jaane”

- (Muslim Shareef, Sahih Bukhari, Baab Kitabul Imaan Part-1 Page-85)

Izzatdaar Cheez ki Izzat Karo


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ghar Tashreef Laaye Toh Roti Ka Tukda Giraa Hua Dekha Toh Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Use Uthaa Kar Saaf Kiya Aur Khaa Liyaa Aur Farmaya, “Aye Ayesha! (Radiallahu Ta’la Anha) Izzatdaar Cheez Ki Izzat Karo, Jab Allah Kisi Qaum Ka Rizq Cheen Leta Hai Toh Waapas Nahi Karta”.

-: (Ibne Majah, Jild No.2, Hadees No.1142)

Buraai ko Dekhe to


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Nabi-e-Kareem (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke,
“Jo Insan Kisi Buraai Ko Dekhe Toh Use Hath Se Rok De, Agar Hath Se Rokne Ki Taaqat Na Ho Toh, Zubaan Se Roke Aur Agar Aisa Bhi Na Kar Sake Toh Uss Burai Ko Dil Me Bura Samjhe Ye Imaan Ka Sab Se Kam Darja Hai”.

-: (Tirmizi Shareef)

Roza Iftaar karne ke liye


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem


Salman Bin Amr (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya,

“Jab Tum Me Se Koi Roza Iftar Karne Lage Toh Khajur Se Iftar Kare Aur Agar Khajur Na Mile Toh Paani Se Kare, Kyunki Paani Paak Karne Waala Hai”.


- (Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1699-Sahih)

Ramazan Mein Taraweeh


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya,

“Jo Ramzan Ki Raat Me Allah Ta’ala Ke Waado Par Yakeen Karte Hue Aur Uss Ke Ajr Wa Sawaab Ke Shauk Me Namaz (Taraweeh) Padhta Ho Uss Ke Pichle Sab Gunaah Muaf Ho Jaate Hain”.

-  (Bukhari Sharif)





Roza Rakh Kar Jhoot Bolna


Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya,

“Agar Koi Shaksh Roza Rakh Kar Bhi Jhoot Bolna aur Dagabaji Karna Na Chore Toh Allah Ta’ala Ko Uski Koi Zarurat Nahi Ki Wo Apna Khana Peena Chor De”.

- (Sahih Bukhari Vol 3, 1903)

Thursday, 18 July 2013

Ramzan Me 5 Khusoosi Karam

Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Hazrat Sydena Jabar Bin Abdullah Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farman Hai Ke,

“Meri Ummat Ko Ramzan Me 5 Khusoosi Karam Ata Kiye Gaye Hain, Jo Mujse Pehle Kisi Nabi (Alaihay Salam) Ko Nahi Mile”.

(1). Jab Ramzan Ki Pehali Raat Hoti Hai Tou Allah Un Ki Taraf Rehmat Ki Nazar Farmata Hai Aur Jis Ki Taraf Rehmat Ki Nazar Farmaega Tou Usko Kabhi Azab Nahi Dega.

(2). Shaam Ke Waqt Un Ke Munh Ki Boo (Jo Bhook Ki Waja Se Hojati Hai) Allah Ke Nazdeek Mushk Ki Kushboo Se Bhi Behter Hai.

(3). Farishte Har Raat Aur Din Un Ke Liye Magfirat Ki Dua Karte Rehte Hain.

(4). Allah Jannat Ko Hukm Farmata Hai, ‘Mere Bando Ke Liye Bich Ja Bohat Jald Woh Duniya Ki Mushakat Se Mere Ghar Aur Karam Me Rahat Paega’.

(5). Jab Maah-e-Ramzan Ki Aakhiri Raat Aati Hai Tou Allah Sab Ki Magfirat Farmata Hai.

Qoum Me Se Kisi 1 Shaks Ne Poocha, “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Kya Ye Lailatul Qadr Hai ?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya : Nahi ! Kya Tum Nahi Dekhte Ke Mazdoor Jab Apne Kaamo Se Farig Ho Jaye Tou Unhein Ujrat Di Jati Hai.


- (Al Targheeb Wal Tarheeb, Jild: 2, Page: 86, Hadith: 7)