Saturday, 24 August 2013

Gunaho Mein Se Bada Gunaah

Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai,
“Gunaho Mein Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Laanat Kare,
Logon Ne Kaha, Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Laanat Karega ?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, Matlab Ki, “Ek Shaks Dusre Ke Baap Ko Gaali De Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De Aisa Hai Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De.”


-: (Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Adab, Hadees No#5973)

No comments:

Post a Comment